Nana nani

 Aao tumhen sunau ek dastan purani

Nana k ghar ki bate pyari hamari Nani

Unse Judi huwi hai yaden bahut hamari 

Raja they  hum waha k waha thath thi hamari 

Mamu they apne hero khala thi dost apni

Sath unke ghumte they wo jan they hamari

Dahliz pe us ghar k hum khelte they din bhar

Din the badey suhane aur rat bhi suhani

Nana ka martaba tha basti me har jagah per

Unki wajah se hi thi izzat waha hamari

Wo thath bas wahi thi kahin aur hum na dekhey

Unsa koi na dekha pyarey they Nana nani



Comments

Popular posts from this blog

Bachpan

Bharat