Maa
Mai gahri nind me bister pe un rato ko sota tha
Sir ma ki god me aur hath mera kandhe pe hota tha
Mai tha mahfooz duniya se sirf aghosh me uski
Wo mere sath hoti aur mai bindas hota tha
Mujhe taiyar karti aur fir kajal lagati thi
Ye uska pyar hi tha tab kaha ahsas hota tha
Zara tabiyat meri jab kabhi nasaz hoti thi
Wo rato ko na soti aur din pahlu me hota tha
Wo mujhse pyar se kahti tu mera chand ka tukda
Sun k ye bat mai sabko zara itra k kahta tha
Usi ka pyar tha bachpan mera itna suhana tha
Wo sirf. dekhna bhi uska bada nayaab hota tha
Comments
Post a Comment