Bachpan
Hamne dekha bachpan ka zamana aise
Na mobile aur tv socho wo Zamana kaise
Roz ki bat wo school tak paidal Jana
Peeth per bag nahi basta purana jaise
Maa k hath ki bani roti aur garam chai
Bal me tel itna k ghar me kuwan ho jaise
Khel to ghar me kabhi humne khele hi nahi
Gae maida to qabl-e-sham kabhi laute hi nahi
Chuttiyan lagti thi badi un dino ki hamko
Aj wo barkat hi kahi kho si gai ho jaise
Bap k sath nikalte they to yun lagta tha
Puri duniya hi mutthi me bhari ho jaise
Aj sab kuch hai pas apne magar phir bhi
Yad hum ko us daur ki satati kyu hai
Sochte sochte ho jati hai ankhen ye num
K wo daur ab zindagi me lai kaise
Comments
Post a Comment