Naat
Pyare nabi hamare uncha hai rutba unka
Hai martaba jaha me allah k bad unka
Unsa jaha me koi aya nahi na hoga
Iman pahuncha hum tak ye bhi hai sadka unka
Thi fikr sabki unko khudka kabhi na socha
ummat ki fikr karna mamul tha ye unka
Taif se jab chale they tha khun jutiyon tak
Phir bhi duwa hi nikli nayab dil tha unka
Sab apni fikr me ho maidan-e-hashr me jab
Ummat ki fikr me ho wo na'am sirf unka
Bheje darood un per ye farz hai hamara
Hai khushnasibi meri k ummati hu unka
Comments
Post a Comment