Posts

Showing posts from January, 2025

Maa

 Mai gahri nind me bister pe un rato ko sota tha  Sir ma ki god me aur hath mera kandhe pe hota tha  Mai tha mahfooz duniya se sirf aghosh me uski  Wo mere sath hoti aur mai bindas hota tha Mujhe taiyar karti aur fir kajal lagati thi Ye uska pyar hi tha tab kaha ahsas hota tha Zara tabiyat meri jab kabhi nasaz hoti thi Wo rato ko na soti aur din pahlu me hota tha Wo mujhse pyar se kahti tu mera chand ka tukda Sun k ye bat mai sabko zara itra k kahta tha Usi ka pyar tha bachpan mera itna suhana tha Wo sirf. dekhna bhi uska bada nayaab hota tha

Naat

 Pyare nabi hamare uncha hai rutba unka Hai martaba jaha me allah k bad unka Unsa jaha me koi aya nahi na hoga Iman pahuncha hum tak ye bhi hai sadka unka Thi fikr sabki unko khudka kabhi na socha ummat ki fikr karna mamul tha ye unka Taif se jab chale they tha khun jutiyon tak Phir bhi duwa hi nikli nayab dil tha unka Sab apni fikr me ho maidan-e-hashr me jab Ummat ki fikr me ho wo na'am sirf unka Bheje darood un per ye farz hai hamara Hai khushnasibi meri k ummati hu unka

Bharat

Bharat ki shan apne mai yun bayan kardu Subha se ibteda ho usme hi sham kar du Mai kya kahunga apne is pyare se watan ko Paida yahi huwa hu is mitti me jan dedu Kashmir k suhane manzar ko Jo bhi dekhe Wo dekh kar kahega jaise hai koi Jadu Dekho himlaya ko kaise data huwa hai Jaise wo kah raha ho sarhad pemai khada hu Ye sarzameen jis par paida huwe they Gandhi Kurbaniyo ko unki mai aj yad karlu Sone ki chidya isko kahte nahi they yun hi Mehnat Karu Jo is per wo bat ab bhi palu Hai mukhtalif yaha par mazhab k log rahte Apna sabhi ko manu apna hi sabko kah du Ye sab hai mere bhai jo bhi yaha hai rahte Un sab k sath mil k mai isko jan kah du

Nana nani

 Aao tumhen sunau ek dastan purani Nana k ghar ki bate pyari hamari Nani Unse Judi huwi hai yaden bahut hamari  Raja they  hum waha k waha thath thi hamari  Mamu they apne hero khala thi dost apni Sath unke ghumte they wo jan they hamari Dahliz pe us ghar k hum khelte they din bhar Din the badey suhane aur rat bhi suhani Nana ka martaba tha basti me har jagah per Unki wajah se hi thi izzat waha hamari Wo thath bas wahi thi kahin aur hum na dekhey Unsa koi na dekha pyarey they Nana nani

Bachpan

Hamne dekha bachpan ka zamana aise Na mobile aur tv socho wo Zamana kaise Roz ki bat wo school tak paidal Jana Peeth per bag nahi basta purana jaise Maa k hath ki bani roti aur garam chai Bal me tel itna k ghar me kuwan ho jaise Khel to ghar me kabhi humne khele hi nahi Gae maida to qabl-e-sham kabhi laute hi nahi Chuttiyan lagti thi badi un dino ki hamko Aj wo barkat hi kahi kho si gai ho jaise Bap k sath nikalte they to yun lagta tha Puri duniya hi mutthi me bhari ho jaise Aj sab kuch hai pas apne magar phir bhi  Yad hum ko us daur ki satati kyu hai Sochte sochte ho jati hai ankhen ye num K wo daur ab zindagi me lai kaise

Mehnat

 Ik Roz mai chala tha ghar se ye soch kar Kuch to karunga Mai bhi bin Jane ye magar Jo bhi mile tumko duniya zamin par Is shirt per mile k chahey khuda agar Koshish hai apne bus me karle tu wo yaha Dena usika kam hai tu intezar kar Kehta wo zindagi me mehnat Jo gar karey Manzil milegi usko bus wo shukar karey To ao mil k hum bhi mehnat yaha karey Dil khol k milega bus hum shukar karey

Mera dil

 Batein dabi hai dil me  Kah do Jo tum to bolu Hai aas ye hi dil me Sab raz tum pe kholu Akhir mai kabtalak yun  Khud apne dil se bolu Koi to ho jahan me  Jisko mai apna bolu Jab jab mai tujhko dekhu Sochu mai apne dil me Kyu na mai tujhko kah du Tu hi hai mere dil me Khoya rahu mai tujh me  Din rat apni dhun me  Aur samne ho jab tum  Kuch bhi na kah saku mai Acha chalo Mai tum per Ye bat chhodta hu Tum hi bata do mujhko Bolu ya chup rahu mai